Tuesday, 30 May 2017

SEO Kya Hai- What is SEO in Hindi? ~ GNIITHELP

Best Online SEO Tutorial in Hindi

Ab sikhiye SEO in Hindi language jisse aapko pata chalega ki Search Engine Optimization ki jarurat kyu hoti hai. SEO yani Search Engine Optimization ek aisa process hai jiska use karke ham apni website ko search engine me rank karate hain. SEO me bhut sari activities hoti hain jinko apply karke ham apni website ko Google me rank karate hain jisse website ka traffic badhta hai.
Why we need SEO- Aaj ki duniya me online business ka bhut bada scope hai. Har chiz internet par uplabdh hai. Apko agar apna online business chalana hai to aapke pas website ka hona bhut jaruri hai. Iske alava keval website ka hona hi kafi nahi hai, jab tak aapki website ki google me acchi rank nahi hogi tab tak aapki website par visitors nahi aayenge aur aap achha business nahi kar payenge. Aur Google me apni website ko high position par rank karane ke liye hame SEO ki jarurat padti hai.
Process of SEO- Basically SEO 2 types ka hota hai-
ON-Page SEO
OFF-Page SEO
Ab ham in 2 SEO ke types ke bare me detail me janenge.

ON-Page SEO

ON Page apne aap me ek bhut bada topic hai. ON Page ka meaning hai apni website ko Google ke rules ke according banana. ON Page SEO me ham apni website ko edit karke use aisa banate hai ki Google use easily read kar sake aur user bi website se jyada se jyada attract ho. Ab On page SEO me kya kya karte hai, ye ham aapko batate hai-
ON Page SEO Steps-
1. Website Speed-
1. Agar aapki website ki speed 1-5 second hai to aapki website Fast hai
2. Agar aapki website ki speed 5-10 second hai to aapki website Average hai- Ise improve karne ki jarurat hai
3. Agar aapki website ki speed 10> second hai to aapki website Poor hai- aapko immediate use thik karne ki jarurat hai
Kyu hoti hai Speed Slow- Jab ham apni website me bahut sari badi badi heavy images aur bade javascript code bhar dete hai to website ki speed slow ho jati hai kyunki image aur javascript code ko load hone me bhut samay lagta hai. To koshish kare ki images ka size kam ho aur JavaScript ka kam se kam use ho.

2. Title Tag- 

Kisi bhi website ko rank karane ke liye Title Tag ka bhut important role hai, Aapka Title jitna jyada optimize hoga utna hi jyada benefit hoga.
Kaise banaye accha title-
Meta Title ki length 70 characters se jyada nahi honi chahiye. Koshish kare ki title me aapka main keyword ek bar jarur aaye. Sabse dhyan dene ki bat ye hai ki aapke Title me bar bar same keyword repeat na ho because Google ki najaro me ye spam hai-
Example-
1. India Tour | Tourist Places in India | Online Tours Packages- Good Title
2. India Tour | India Tours | Best Indian Tour – Bad Title
3. Meta Description- Meta description ka use krke ham Google ko describe karte hai hamari website kis subject par hai, jaise- sports par hai ya tourism par hai etc.
Kaise banaye accha description-
Meta description ki length 160 characters se jyada nahi honi chiaye kyunki isse jyada Google read nahi karta. Description me aap jyada se jyada synonyms words ka use kriye and koshish kre ek bar aapka main keyword description me aa jaye.
Example –
1. Travel to India- We are offering best packages for India Tour and providing excellent services like booking hotels at very affordable prices. – Good Description
2. Book packages for India Tour, Indian Tourist Places, India Tours, Tourist Places in India, Tours to India.- Bed Description.
4. Keyword Density- Keyword density bhi ek bada factor hai. Keyword density ka matlab hai ki aapka keyword kitni bar apke content me repeat hua hai. Keyword density only 5% honi chiaye isse jyada hogi to aapki website ke liye harmful hai.
5. Hidden Content- Appki website me koi hidden content nahi hona chahiye. Kai bar log acchi rank ke liye content page par dal dete hai lekin use hide kar dete hai jisse ki jab koi user site pe padhne aata hai to hide wala content nahi dekh pata. Google aise hidden content se hate krta hai
6. Image Alt Tag- Bhut sare log is bat ko nahi jante ki Google image ko read nahi kar pata. Google image me lage alt tag se ye pata karta hai ki ye image kiski hai. For example- agar aapne Sachin Tendulkar ki photo apni website par lagayi lekin alt tag nahi dala to Google ko pata nahi chlega ki ye Image kiski hai lekin agar aapna Alt Tag me Sachin Tendulakr define kar diya hai to Google samajh jayega ki ye imgae sachin Tendulkar ki hai.
7. URL Structure – Appke post ke URL ka link aapko rank up karne me help karta hai. Post ka url aisa hona chahiye jisse padhkar Google ko pata chal jaye ki ye Post kis topic se related hai.
Example= http://www.hindisoch.com/?id=12.html – wrong way
http://www.hindisoch.com/top-motivational-books-hindi/ – Correct way
8. Internal Links- Apni post me kuch other related post ke link bhi lagaiye. But yaad rkhiye kisi post me 5 se jyada internal links na ho because jyada link use karne se readers confuse ho jate hain.
9. Enable Gzip Compression – Gzip compression use krne se aapki site thodi light weight ho jati hai. Gzip me aapki website ke HTML. CSS, JavaScript code ko compress kiya jata hai jisse site ka loading time kam ho jata hai.
10. Bold Important Keyword- Aap jis keyword se apni post ko rank karana chahte hai us keyword ko “Bold” tag me rakhe. Bold means attention, keyword bold karne se Google samajh jata h ki post ka focus kis keyword par hai.
11. Website Structure – Apni website ke look ko user friendly banaiye. Bhut sare log apni website me bhut chote font size use karte hai. Dekhiye aaj kal smart phone ka jamana hai aur jyadatar log mobile par hi website open karte hain to aapka font size atleast 15px to hona hi chiye. Iske alwa Heading Tag properly visible ho. Aapki site dekhne me attractive lagni chiye jisse reader ko padhne me maja aaye.
12. Responsive Website- Responsive website ka matlab hota hai ek aisi website jo mobile ya desktop kisi par bhi khulte hi apni height aur width device ke according set kr le. Short me khe to responsive website par mobile readers ko padhne me koi dikkat nahi hoti. Aapki website responsive hai ya nahi ye check karne ke liye aap apne browser ko resize kriye, Niche image me bataya gya hai ki kaise aap apni website check krenge ki responsive hai ya nahi

13. Heading Sequence- HTML me kuch heading tags hote hai – H1, H2, H3, H4, H5, H6. Hame in heading tag ko use karte samay dhyan dena chiye ki inko use karne ka ek sequence hota hai.
Sabse pahale H1, fir H2, fir H3…… aise sequence chalna chiye kuch log H1, fir H2, fir H1,,,, aise bi use krte hai but ye tarika bikul galat hai aur SEO ke liye harmful hai.
14. Post Length- Jitna jyada aap information denge utna hi aapki rank jaldi aayegi. Apni post ki length badhane ka matlab ye nahi ki aap kuch bi likhte rhe. Post me informative content hona bhut jaruri hai. Koshish kare ki aapki post me atleast 1000 words ho.
15. Sitemap- Sitemap ek type ka Map hota hai jise padhkar Google ko aapke webite ki sari post ka structure pata chal jata hai. Jab Google kisi website ko read karta hai to sabse pahle Google ka crawler sitemap.xml name ki file ko search krta hai. Agar ye file crawler ko mil jaye to easily wo puri website ko crawl kar leta hai otherwise crawler ko aapki website ke sare pages tak pahuchne me problem hoti hai isliye apni website pe sitemap jarur lagaye.

Off Page SEO

Jab off page ki bat karte hai to main focus aa jata hai Backlinks par. Backlinks ek tarh se website ko ek support dete hai. Jitne jyada quality backlinks honge utni jyada Google ki najar me aapki website ki reputation badegi. Aaiye samjhte hai Off page SEO me kya kya krna hota hai-
1. Search Engine Submission- Sabse pahale apni website ko Google, Yahoo, MSN, Altavista, Alexa, Alltheweb, Lycos, Excite, etc jaisi free website par submit kro. Kuch time bad me kuch acchi search engine submission ki list bhi upload krunga jisse aap teji se apni website ko rank kara payenge.
2. Use Keyword in Post- Koshish kriye ki aap apne keyword se hi post likhne ki shuruaat kren. Content ke starting me hi keyword se rank teji se badhti hai. Iske alava apne keyword heading tags me bi use kro.
3. Bookmarking Websites- Bookmarking websites ki caching frequency other websites se jyada hoti hai. Aap apni websites ko digg.com, newsvine.com, reddit.com jaise acchi website par submit kare. Internet par hajaro website ki list hai. But ek bat ka dhyan rkhne ki ek din me 20 se jyada bookmarking na kare. Jyada sites par bookmarking kai bar harmful bi hoti hai.
4. Directory Submission- Dmoz, Viasearch jaise badhiya directory websites par apni website ka link submit kijiye. Ye websites strong backlinks provide karti hain.
5. Facebook Page- Facebook aaj ki date me sabse badi social networking websites hai jaha karodo log ek dusre se jude hue hain. Aapki website ka promotion karne ke liye facebook sabse accha jariya hai. Apna ek facebook page banaye aur kuch acchi Images banaye aur facebook page par upload kare. Logo ko entertain kre aur acche like lene ki koshish kre. Jaruri nahi ki page par keval site ke bare me hi post dali jaye. Kai bar kuch acche joke ya quotes bi daliye jisse aapka page active bana rhega.
6. Use Google+ to Boost Organic Traffic- Google+ khud google ka banaya social networking platform hai to ye bat saf hai ki Google ispe facebook se kyada focus karta hai. Aap Google+ par apna ek attractive profile banaye aur apne followers increase kre.
7. Use Twitter and Hashtag- Twitter bi aaj kal logo ka pasandida platform hai. Twitter par apne followers badhaye aur regular tweets kare. Hashtag ka use kare. Hashtag se Google ranking me to koi fayda nahi hota lekin ye traffic badhne ka accha medium hai.
8. Classified Submission- Olx, Quikr ye kuch badhiya classified website hai. Classified website me ham apni website ka free advertise kar sakte hai. Aap in websites par jakar apni website ko promote kriye.
9. Participate in Question & Answers- Quora, Yahoo answer and other question answer jaisi websites par bhi participate kre. Logo se question kre, kuch logo ke question ka answer de aur answer me aap apni website ka link bi laga sakte hain
10. Slide share- Kuch slide submission ki acchi website search kijiye, jaise- slideshare.com., speakerdeck.com ye meri favorite websites hain. Inka fayda ye hai ki ye teji se Google me rank karti hai jisse hamri website ko referral traffic milta hai aur sath me ek backlink bi ban jata hai.
11. Blog Commenting – Kuch acche traffic wale blogs par comment bi kre. Comment me apni website ka url de. Yha se aapko referral traffic bhut accha milega aur strong backlink create hoga.
12. Pinterest Photo Sharing- Pinterest aaj kal kafi trends me chal rha hai. Kuch acchi image banaye aur pinterest par submit kare. Pinterest me aap picture par apni website ka link bi laga sakte hai. Jisse jab koi user picture par click karta hai to wo aapki website par chala jata hai. Is tarah pinterest traffic generate krne ka accha medium hai.
13. Guest Post- Jo Blog ya website already bade ho chuke hai, aap aise blogs par apna guest post submit kare. Jisse log aapko janne lagenge aur aapki website par traffic ana shuru ho jayega.

Dosto Ab aapko search engine optimization ka basic puri tarah samaj me aagay hoga. Koi help chahiye to comment me apna question likhe. Ham aapko solution jarur denge. Thanks…..

No comments:

Post a Comment