Tuesday, 30 May 2017

Permalinks SEO for Hindi Blogs – Hindi Blogspot Blogger Post Link Ko SEO Friendly Kaise Banayen ~ GNIITHELP

Aaj kal rojana internet par hajaro Hindi Blog ban rahe hain. Jo log blogging me apne career ki starting kar rahe hain wo sabse phle free blog posting sites jaise Blogger par hi bhrosa karte hain. Aur Blogger beginners ke liye sabse badhiya platform hai.
English Bloggers ke liye to most popular free blog site yani blogger already kafi SEO friendly hai lekin jo log hindi font me Blog chalate hain unke liye Blogspot me kuch kamiya hai lekin bahut asani se aap Blogspot ko SEO friendly bana sakte ho.
Jab koi Blogger Hindi font me apna article Blogspot me submit karta hai to blog post ka default permalinks SEO ke hisab se thik nahi hota. Kafi sare blogger ye bat jante hi nahi ki how to do seo for my blog aur wo keval post karte rahte hain lekin Google me unka traffic nahi aa pata.
Chaliye aaj is post me ham detail me janege ki kaisa post permalinks SEO ke liye best hai aur apne Blog ki post ka permalinks bi kaise seo friendly banayen

Permalink SEO for Hindi Font Blog

1. Sabse pahle ham ek hindi font article ko blog me publish karte hain. Title aur content post karne ke bad jab publish par click karenge to article publish ho jayega.

2. Ab aap apni post ko Open karke uska permalink yani article ka url check kariye. Post ka Url bydefault Blog-post.html aisa aata hai jo ki bilkul bi SEO friendly nahi hai.

3. SEO ke rules(google seo guidelines) ke according aapki post ke url me ek bar keyword jarur ana chahiye. Otherwise aapki post rank nahi karegi.
4. Jab aap apne hindi article ko blogspot me publish karte ho to publish karne se pahale Links ke option par jaye.

5. Custom par click kare.

6. Ab aap picture ke according permalink me apni Post ka SEO friendly url bana sakte hain aur apne link me ek bar keyword bi use kijiye.

7. Link banana ke bad Done par click kijiye.
8. Ab aap Publish par click karke apni post ko publish kar dijiye.
GNIITHELP

9. Now check, ab aapki post ka link full SEO friendly hai.
GNIITHELP

Is tarah aap apni post ke link me keyword use karke pani ranking Google me badha sakte ho. Hindi bloggers bi aaj kal accha earn karte hain. Aap bi apne blog ko mere Hindisoch.com jaisa high traffic bana sakte hain lekin aapko uske liye accha SEO sikhna hoga.

No comments:

Post a Comment