Is Trick Se Apko Kya Kya Fayda Hoga?
- 1.Aapki file lock ho jayegi password se jise aapke alava koi bhi nhi dekh sakta
- 2.Lock hone ke baad wo photo ya video ya pura ka pura folder aapki gallery me bhi show nhi karegi totally hide ho jayega gallery se.
- 3.Apke folder me dale password ko koi bhi itni asani se nhi crack kar sakta.
- 4.Is trick ka use karke aap apne whatsapp ki photo or video ya pura whatsapp folder hi hide or lock kar doge jo gallery me show nhi karegi.
To chaliye jante hai kaise password lagate hai apni kisi bhi ek photo ya pure ke pure folder me aur use dusre logo se secure kare .
Step By Step Process
Step:1) Sabse pehle aapko Es file manager apne phone me download karke install karna hoga ,agar aapke paas ye software nhi hai to iska matlab aap is software se parichit nhi hai.Ye software aapke phone ke liye utna jaruri hai jitna aapke liye Roti khana,aapko is software ko aaj hi download karna chahiye kyonki ye bahut se aise kaam karta hai jiski baare me aap soch bhi nhi sakte.Aap is link se isko dowload kar sakte ho.Step:2) Ab aap es file explorer open karna
Step:3) Iske baad aap upar likha hoga homepage us par click kariye aur apni memory card/sd card me jayiye and iske baad aap us folder ya file par jana jisko aap lock karna chahte hai.
Step:4) Ab maan ek kisi photo ko lock karna hai to use thodi der tak touch kare rehna ,isse aapki wo file select ho jayegi
ETT |
Step:5) Ab aap right hand ki taraf neeche dekhna ek option more ka us par click karna
Step:6) Aap dekhenge ki more par click karne ke baad kafi sare option khul kar aa jayenge,simply aapko encrypt naam ke option par touch karna hoga
ETT |
Step:7) Jaise hi encrypt par click karoge to ek screen khulegi jo aapse password dalne ke liye bolegi ,simply 2 box honge dono me aap ek jaisa password daal dena aur okay par click kar dena.
ETT |
Step:8) Jaise hi aap okay karenge to aap dekhenge ki aapki photo ab lock ho chuki hogi ,aur ab agar aap isko khologe to aapse password dalne ke liye kaha jayega jo sirf aap hi jante honge .
ETT |
Note: Jaise aapne ek photo ko lock kiya hai Isi tarah kisi video ya anya koi bhi file ya folder me password daal sakte hai bilkul same steps follow kariye jaise upar bataye gaye hai.
Ab Password Ko Kaise Hataye Photo Ya Folder Se?
Upar maine bataya ki kaise kisi file ko lock karte hai aur usme password lagate hai ,ab maan lo aapko us file se password hatana hai to aap neeche diye gaye step follow kariye ,isse password hat jayega aur sabhi photos bhi gallery me show hone lagengi.Step:1) us photo par jana jisko aapne lock kiya hua aur use thodi der tak touch kare rehna ,isse bo select ho jayegi.
Step:2) Ab neeche dekhna more likha hoga us par click karna
Step:3) Ab iske bad kuchh option khulenge usme se decrypt bale option par click kar dena
Step:4) yanha par aapko ek baar password dalna padega ,wahi password dalna jo aapne shuru me dala tha us photo ko lock karte samay.
Step:5) password dalne ke bad okay kar dena ,isse wo file unlock ho jayegi.
ETT |
Agar aapko kisi bhi step me koi dikkat ho rahi ho to comment karke mujhse puchh sakte hai ,aur Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.
No comments:
Post a Comment