Kis Kis Cheej Ki Jarurat Padegi Aapko?
- 1.sabse pehli baat to aapko jarurat padegi ek pendrive ki minimum 2 gb
- 2.Thodi si computer knowledge ki
- 3. 5 minute ka time
- 4.Aur last ek computer ki (lol just joking)
Pura Tarika Step By Step Computer Ki RAM Badhane Ka
jaisa ki hum jante hai agar hum RAM ko kharidne jate hai usme achhi money lag kharch ho jati hai aur maan lo aapke paas itne rupay nhi hai tab kya karenge, Isi situation ko dhyan me rakhkar main neeche sabhi step provide karne ja raha hoon jisse aap free me apni RAM ka size badha sakte hai.
Step:1) Sabse pehle to aapko jarurat padegi ek pendrive ki wo bhi achhi quality ki ,agar aapke paas nhi hai to aap usko market se kharid sakte hai itna to kharch kar hi sakte hai aap.Aur ye yaad rahe ki pendrive ka size 1 GB se kam nhi ho ,baise agar aap mujhse puchhenge ki kitni sizeka pendrive use kare to main to aapko yahi salah dunga ki aap agar ho sake to 4GB KI Usb pendrive ka hi use kare .
Step:3) Iske baad aap my computer ka jo icon bana hota hai aapke desktop par us par right click kariye aur properties par jayiye.
Step:4) Iske baad Advanced system setting me jayiye aur fir yanha par advance ki tab khulegi aur yanha par aapko Performance Setting bale option ke aage jo setting likha hoga us par click karna hai.
Step:6) Jaise hi aap change par click karengi to ek new window khulegi ,isme aapko apni pendrive Select kariye .
Step:7) Jab aap pendrive select kar lenge to Iske baad aapko wanha par Custom Size ka option hoga us par click karna hai.
Step:8) Jb aap costom size par click karenge to wanha par aapko 2 box dikhenge usme aapko kitni RAM badhani hai jaise 3000 mb ya isse jyada ya kam aap wanha par daal do bas ab iske baad OK par click kar do.
Ab aapko apne system ko restart karna hoga ,jab aap apne computer ko restart karke fir se open karenge to dekhenge ki aapke computer ki RAM badh chuki hogi lekin yaad rahe ab is pendrive ko agar aapko nikalna hai to aise direct mat nikalna Nhi to pendrive kharab bhi ho sakti hai ,isko hatane ke liye aapko shuru se lekar end tak same process apply karnni hogi aur pendrive ko unselect karna hoga Tab kanhi jakar aap isko nikalna apne computer se.
No comments:
Post a Comment