Sunday, 14 May 2017

Apne USB Pendrive Me Password Kaise Lagaye Aur Data Chori Hone Se Bachaye ~ GNIITHELP

Step By Step Process Pendrive Me Password Daalne Ka

Aap neeche diye gaye steps ko ek ek kar ke sahi se read aur follow  kariye ,Main yanha par apne computer me dali windows 8 ke liye steps batane ja raha hoon lekin process lagbhag same hi hogi ab bo chahe window 7 ho ya 8.1 ya xp,vista.
 


Step:1) Sabse pehle apni pendrive ko jisme aap lock dalna chahte ho usko apne computer se connect kariye .
 


Step:2) Ab jab aapka computer aapki pendrive ko recognize kar le to simply my computer me jayiye yanha par aapki pendrive show kar rhi hogi.
 


Step:3) Ab aapko karna kya hai pendrive par "Right click" karna hai aur wanha par kuchh option khulkar aayenge and wanha par ke option hoga "turn on bit locker" ka simply is par click karna .
 


Step:4) Ab kuchh seconds wait kijiye bitlocker load ho raha hoga.
 


Step:5) Process complete hone ke baad ek screen khul kar aayegi ,isme ek option hoga "use password to unlock " ka is par tik karna .Aur uske neeche jo 2 box honge usme dono me same password daal dena jo aap pendrive me lagana chahte ho. Iske baad "next" button par click kar dena.
 


Step:6) Ab fir se process start hogi aur kuchh time baad ek screen khul kar Aayegi,yanha par recovery option choose karna padega.Ye isiliye karna hai taaki agar aap kisi karan bas apna password bhool jaye to aap use recover kar sake.Aap in teeno me se koi bhi option choose kar sakte hai lekin main aapko prefer karta hoon ki aap "save to a file " bala option select kare aur us file kisi jagah par save kar do,iske baad next button par click kar do.
 


Step:7) Ab iske baad aapko ek screen milegi simply upar bala option select karna fast encrypt bala aur next par click kar dijiye.
 


Step:8) Iske baad jo window khule usme "start encrypting" par click kar dijiye
 


Step:9) Jaise hi aap encrypting start kar denge aapke pendrive me lagne ki process start ho jayegi isme kucch minuts lag sakte hai aap ghabrana nhi friends.
 


Step:10) Bas a jaise hi process end hogi aap dekhenge ki aapko successfully encrypted ka message ,mil chuka hoga aur aapki usb me password lag chuka hoga.
 


Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahuch sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku .....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.

No comments:

Post a Comment