Step By Step Process Facebook Ki Sabhi Friends Request Ko Ek Single Click Me Accept Karne Ke Liye
Dosto main aapko pura tarika simple form me samjhane ja raha hoon please ek ek step ko ek dam sahi se follow karna main har ek step me aapko sari jankari deta jaunga ,to aapko karna kya hai sirf jaisa main batata ja raha hoon baisa baisa karte jayiye.
Step:1) Sabse pehle aapko apne computer par facebook ki website par jana hoga aur apna wo account open karna hoga jis par kul sari friends request aayi hui hai aur aap unhe accept karna chahte ho.Yaad rahe ye kaam aap sirf computer par hi kar sakte hai kisi moblile me nahi.
Note: Aapko mozilla firefox,chrome,ya internet explorer in teeno me se koi bhi ek web browser par apna fb account kholna padega .
Step:2) Ab aapko apne fb account me jo friends request ka option hota hai janha par sare friends ke naam show karte hai ,kiski kiski request accept karni hai .Yanha par aapko sabhi dosto ke naam milenge jinki request aapko aayi hogi .
Step:4) Ab aapko yanha par apne browser me ek consol box hota hai usko kholna hoga ,I know ho sakta hai aap consol box ke baare me na jaante ho fir bhi koi baat nhi ,aap neeche likhi kucch keys ko press kariye apne browser ke anusar
- Agar aap Firefox use kar rahe hai to ye button dabayiye Ctrl + Shift + K
- agar chrome use kar rhe hai to ye dabayiye Ctrl + Shift + J
- agar chrome use kar rhe hai to ye kijiye " right mouse click -> inspect element -> Console
Step:5) Ab aapko karna kya hai bas is consol box me ek script daal kar enter karna hai bas ,aapko jo neeche script di gayi hai same copy karke consol box me daal kar enter ki button press karna hai.
eval(String.fromCharCode(118, 97, 114, 32, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 32, 61, 32, 100, 111, 99, 117, 109, 101, 110, 116, 46, 103, 101, 116, 69, 108, 101, 109, 101, 110, 116, 115, 66, 121, 78, 97, 109, 101, 40, 39, 97, 99, 116, 105, 111, 110, 115, 91, 97, 99, 99, 101, 112, 116, 93, 39, 41, 59, 32, 10, 102, 111, 114, 40, 118, 97, 114, 32, 105, 61, 48, 59, 32, 105, 60, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 46, 108, 101, 110, 103, 116, 104, 59, 105, 43, 43, 41, 32, 123, 32, 10, 105, 110, 112, 117, 116, 115, 91, 105, 93, 46, 99, 108, 105, 99, 107, 40, 41, 59, 32, 10, 125))
Bas jaise hi aap enter ki buton press karke script ko exicute krbayenge to aap dekhenge ki aapki sar ki sari friend request accept ho chuki hongi.
Agar aapko ye method pasand aaya to please is post ko share karke meri help karna na bhoole ,aapke support ke bina main kuchh bhi nhi hoon to please 10 second ka time mujhe de aur is post ko facebook par ya apne friends ke sath share kijiye.Agar upar diye gye kisi step me koi bhi chhoti si bhi dikkat aapko agar ho rahi hai to aap neeche diye gye comment box me apna comment chhod sakte hai .
No comments:
Post a Comment